mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena use kafi nahin hota hai diwana bana dena par-e-gul se juda hum ne na dekha barg-e-bulbul ko nazar mein aa gaya surat ko be-mana bana dena hua tha dil jo khali do ghadi ko hum na samjhe the ki ho jaega ye kabe ko but-khana bana dena kisi ne bhi na dekha iztirab-e-tishnagi mera agar dekha to bas shishe ko paimana bana dena nahin ab chahta ye wahshi-e-be-khanuman tera ki aana aur khak-e-pa se kashana bana dena kisi ek tegh-e-jauhar-dar ko fazil jila de kar use aasan hai basti ko virana bana dena hum apni jaan se dete tumhein sadqa mohabbat ka magar tum ne to chaha is ko jurmana bana dena