mohabbat ghair-fani hai maraz hai la-dawa mera khuda ki zat baqi hai mohabbat hai khuda mera na jite ji hua hargiz wafa na-ashna mera par us ki dastan ban kar raha zikr-e-wafa mera jafa ka teri talib hun wafa hai muddaa mera yaqin-e-na-muradi par bhi dekho hausla mera ye kaisi chhed hai kyon puchhte ho muddaa-e-dil hue jab muddai ke tum suno kyun muddaa mera pade kyun soch mein tum qatl karke mehrban mujh ko wafa ki thi khata ki thi nahin kuchh khun-baha mera nahin malum kis par aaj phir mashq-e-jafa hogi ki hai un ke labon par aaj phir zikr-e-wafa mera dil-azari ka bais ho nahin sakti jafa teri wahi hai na-muradi par bhi andaz-e-wafa mera khuda jaane harim-e-naz hai kitni bulandi par ki guzrin muddaten lekin hai nala na-rasa mera mujhe mahshar mein bhi ummid kam hai dad pane ki khudai jab buton ki hai to kya hoga khuda mera masihai ka un ki imtihan manzur hai warna mujhe malum hai 'bekhud' maraz hai la-dawa mera