mohabbat hasil-e-kaun-o-makan bhi mohabbat ek sai-e-raegan bhi ajab shai hai zaban-e-be-zaban bhi khamoshi bhi mukammal dastan bhi suna hai dard hai taskin-e-jaan bhi labon par ruk gai aakar fughan bhi farogh-e-shoala-e-rang-e-chaman par tadap kar rah gai barq-e-tapan bhi fareb-e-shauq hai ya khud-farebi chaman ke sath fikr-e-ashiyan bhi meri tira-shabi par hansne walo sahar tak hai farogh-e-kahkashan bhi mujhe dekha to aaina bhi dekho ki mere sath apna imtihan bhi nifaq-e-dushmanan ka tazkira kya nazar mein hai khulus-e-dostan bhi kahan jae tumhaare dar se 'zaidi' ki dushman hai zamin bhi aasman bhi