mohabbat ka koi pauda lagana bhi zaruri hai

mohabbat ka koi pauda lagana bhi zaruri hai
use phir shak ki aandhi se bachana bhi zaruri hai

chalo aapas mein talkhi aur ranjish ho hi jati hai
tamasha kya zamane ko dikhana bhi zaruri hai

kisi ke nam ko kaghaz pe likhna aur mita dena
ek aise kaam par khud ko lagana bhi zaruri hai

fasane chahaton ke lutf dete hain magar tum ko
judai ka koi qissa sunana bhi zaruri hai

yunhi udte hue panchhi munderon tak nahin aate
mohabbat ke liye kuchh dam-o-dana bhi zaruri hai

qadam to mil gae 'arshad' magar ye zehn mein rakhna
mohabbat ko mohabbat se nibhana bhi zaruri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close