mohabbat ka sajda ada ho na jae kahin tu kisi ka khuda ho na jae khalish gham ki dil se juda ho na jae kahin zindagi be-maza ho na jae mohabbat meri be-khuda ho na jae kahin phir wo zalim khafa ho na jae kare bhi to kya aah majbur-e-ulfat agar rah-e-gham mein fana ho na jae khuda ke liye iltija yun na thukra kahin koi be-asra ho na jae na itne bhi sadme do pamal-e-gham ko kahin saz-e-dil be-sada ho na jae na karna kabhi arz-e-gham un se 'sahir' kahin iltija bhi gila ho na jae