mohabbat ka sila-kar-e-mohabbat se nahin milta jo afsane se milta hai haqiqat se nahin milta main us ko us ke bahar dekhta hun sakht mushkil mein koi bhi aks us ka asl surat se nahin milta mulaqat us se ab to baala baala bhi nahin mumkin chhaton ka silsila ek us ki hi chhat se nahin milta kahan se laen ishq itna ki us tak bar paen hum wo khud bairun-e-sahra ahl-e-wahshat se nahin milta ki ab dar-pesh rahte hain kai apne bhi kaam us ko wo pahle ki tarah ab apne 'farhat' se nahin milta