mohabbat ki alamat ho gai hai ye kis be-kas ki rehlat ho gai hai koi maqsad nahin hai zindagi ka hamein jine ki aadat ho gai hai abhi tak kyun ye patte tutte hain hawa to kab ki rukhsat ho gai hai koi taqat daba sakti nahin ab ki zehnon mein baghawat ho gai hai jise main qatl kar ke khush hua tha har aaina wo surat ho gai hai gareban mein abas kyun jhankte ho tumhein kaisi ye wahshat ho gai hai ibaadat ek zarurat se thi pahle zarurat ab ibaadat ho gai hai nahin hai dhyan apni zindagi ka ki ab bachchon se ulfat ho gai hai hamari zindagi hi kya hai 'khalid' azizon ki amanat ho gai hai