mohabbat mein jafa kya hai wafa kya wo ye puchhen to shikwon ka maza kya qayamat se daraati kyun hai duniya qayamat se hai kam un ki ada kya jahan tauhin-e-arz-o-iltija ho wahan par arz kaisi iltija kya baghawat aur phir in ki raza se mohabbat mein dua kya muddaa kya kisi dasht-o-bayaban ki ek aawaz hamare saz-e-hasti ki sada kya meri nazron se puchho husn apna bata sakta hai tum se aaina kya ba-juz ashkon ki bunden aur aahen 'jalil' aakhir mohabbat se mila kya