mohabbat mein jina nai baat hai na marna bhi mar kar karamat hai main ruswa-e-ulfat wo maruf-e-husn baham shohraton mein musawat hai na shahid na mai hai na bazm-e-tarab ye khamiyaza-e-tark-e-adat hai shab o roz furqat hamara har ek ajal ka hai din maut ki raat hai udi hai mai-e-muft 'sael' mudam ki saqi se gahri mulaqat hai