mohabbat mein wo hum ko nashad kar ke pareshan pareshan hain bedad kar ke wahi han wahi jo hamein bhul baithe bahut roe kal hum unhen yaad kar ke usi ke liye mere lab par dua hai mujhe rakh diya jis ne barbaad kar ke mohabbat mein wo daur nazdik hai phir tadap jaoge tum hamein yaad kar ke hui daulat-e-zabt barbaad yun hi mila kya shab-e-hijr fariyaad kar ke nahin aaj to kal rahunga yaqinan asiron ko zindan se aazad kar ke hua ek zamana tadapte hain ab tak kisi be-murawwat ko hum yaad kar ke tujhe kya milega ye gulchin se puchhen gulistan mein phulon ko barbaad kar ke 'wakil' ahl-e-dil sab tadapte rahenge hamari pareshaniyan yaad kar ke