mohabbat mein yahi sab kaam karte hain farishte bhi usi ki did ki khatir sanwarte hain farishte bhi suna hai us ki aahat par sabhi sajde mein rahte hain hawaen ruk si jati hain thaharte hain farishte bhi hasin taswir hai duniya gulon jharnon pahadon ki musawwir ban ke is mein rang bharte hain farishte bhi hazaron khamiyan mujh mein magar ye baat digar hai meri kuchh khubiyon par rashk karte hain farishte bhi hamari kashtiyan girdab mein mahfuz rahti hain hamare sang dariya mein utarte hain farishte bhi akele khak hum ne hi nahin chhani hai sahra mein yahan us ki tamanna mein guzarte hain farishte bhi