mohabbat pe shayad zawal aa raha hai ki ab zindagi ka sawal aa raha hai faza mahki mahki hai sehn-e-chaman ki jo aaj ek yahan gul-misal aa raha hai karun kis tarah un se tark-e-talluq mujhe un ke dil ka khayal aa raha hai ye kis ke tasawwur mein ai jaan-e-arman tujhe bhi sar-e-bazm haal aa raha hai guzar sa gaya saneha kya chaman mein gulon par jo rang-e-malal aa raha hai ye dasht-e-hawas hai jafaon ki duniya idhar kyun hujum-e-ghazal aa raha hai wo bol utthe dekha jo aashiq ko aate idhar koi aashufta-haal aa raha hai 'zafar' ye hai us but ki yaadon ka sadqa shab-e-hijr lutf-e-visal aa raha hai