mohabbat sirf ek jazba nahin hai nazar aata hai jo waisa nahin hai sabhi tabir us ki likh rahe hain kisi ne bhi use dekha nahin hai kisi khai mein wo bhi ja gira hai jo teri rah se guzra nahin hai na kar sine ke aatish-dan thande bujha dil phir kabhi jalta nahin hai chalo bahar se ho kar laut aaen kai din se koi aaya nahin hai nazar mahtab se takra gai hai to kya aage koi rasta nahin hai khala ka masala hi mukhtalif hai samundar is qadar gahra nahin hai qayamat aa rahi hai ja rahi hai magar ye aasman tuta nahin hai