mohabbat to mohabbat hi nahin thi

mohabbat to mohabbat hi nahin thi
haqiqat mein haqiqat hi nahin thi

main us ki chae ki pyali thi lekin
use pine ki jurat hi nahin thi

bichhadne ka bhi ek apna maza tha
magar mujh mein ye himmat hi nahin thi

bura mat manna par sach yahi hai
tujhe meri zarurat hi nahin thi

kise main dhundhti apni khushi mein
tumhaare gham se fursat hi nahin thi

hamein dil chahiye tha us ko daulat
hamare pas daulat hi nahin thi

bichhadne ka khayal aata bhi kaise
hamare beach qurbat hi nahin thi

ki hum anmol the kahne ki had tak
hamari qadr-o-qimat hi nahin thi

ghazal mein jaan 'rakhshan' kaise aati
tere jazbon mein shiddat hi nahin thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close