mohabbaten jab hisab mangengi nafraton ka jawaz hoga wo jis safar mein saubaten hon wo aabgina-nawaz hoga kuchh aisi mushkil si aa padi hai ki chehra aaina ban gaya hai mujhe ye dhadka hai dil mein rakkha ayan wo muddat ka raaz hoga tilism kahiye ki ya tamanna ragon mein para lahu bana hai lahu jo tapkega ashk ban kar nazar se ulfat ka saz hoga ye manzaron mein jo aa gae hain kisi ilaqe ke sabz tair ye hijraton ka hasin mausam farogh-e-gulshan ba-naz hoga akele-pan ki 'dua' ye shiddat hi mar dale kahin na mujh ko wo aaega to ye mera hona bhi us ke sarf-e-niyaz hoga