mohabbaton ka chaman paemal hum ne kiya khud apne aap ka jina muhaal hum ne kiya jo lazzaten hain dukhon mein masarraton mein kahan mila uruj to us ko zawal hum ne kiya na kar-e-dil ke the laeq na kar-e-duniya ke jo kuchh kiya to gham-e-mah-o-sal hum ne kiya hazar dard ke mausam guzar gae lekin kabhi daraaz na dast-e-sawal hum ne kiya ye ramz-e-ishq ye nazuk kinae hum ne sikhae nigah-e-naz tujhe be-misal hum ne kiya diye tarash liye yas ke andheron se gham-e-firaq ko khwab-e-visal hum ne kiya sukhan se rang gaya zindagi se khwab gae ye zakhm hijr ka kyun indimal hum ne kiya hui hai aaj tabiat sukhan pe phir mail so mauj-e-dard ko dil mein bahaal hum ne kiya