mohabbaton ka sila nahin hai labon pe harf-e-dua nahin hai nahin wo taswir pas mere so hath mera jala nahin hai main apni lau mein hi jal rahi hun jo bujh gaya wo diya nahin hai bas ek piyali hai mez par aur wo muntazir ab mera nahin hai likha janam-din pe us ko main ne wo khat bhi us ko mila nahin hai main kis liye par jaun 'shahin' wahan mera na-khuda nahin hai