mohabbaton mein bahut ras bhi hai mithas bhi hai hamare jine ki bas ek yahi asas bhi hai kabhi to qurb se bhi fasle nahin mitte go ek umr se wo shakhs mere pas bhi hai kisi ke aane ka mausam kisi ke jaane ka ye dil ki khush bhi hai lekin bahut udas bhi hai badan ke shahar mein aabaad ek darinda hai agarche dekhne mein kitna khush-libas bhi hai ye jaante hain ki sab thak ke gir padenge kahin shikasta logon mein jine ki kitni aas bhi hai wo us ka apna hi andaz hai bayan ka 'aman' har ek hukm pe kahta hai iltimas bhi hai