mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka sidhi hai rah-e-but-kada ehsan khuda ka gar hai sar-e-daryuza-e-faiz ahl-e-nazar se ho rah-nashin marhala-e-faqr fana ka khush-nudi-e-mashuq hai ranjur hai aashiq be-dard hai wo khasta ki le nam dawa ka is bagh ki nikhat ka hun mushtaq ki ho jae jate hue dam band jahan baad-e-saba ka koi nahin kahta ki ye kis ka hai karishma ek shor hai isa ke dam-e-ruh-faza ka jhaden tere ushshaq use gard samajh kar pad jae agar sar pe kabhi saya huma ka tan fart-e-latafat se ho jab ruh-e-mujassam kya zor chale kashmakash-e-band-e-qaba ka kab kalbud-e-khak mein ho itni nazakat jo but hai wo putla hai magar naz-o-ada ka yun qatl kare ghamza-e-dildar kahen kya jauhar na kahen gar mizha ki tegh-e-qaza ka kya dane ki khwahish ki hai tasir ki jis se hota hai guzar dam mein murghan-e-hawa ka asrar haqiqat ka ho ashaar mein shaareh kya hausla hai 'nazim'-e-ashufta-nawa ka