mom hai aankhon ka patthar dekh to jaise main roya hun ro kar dekh to gham ki manzil is qadar suni nahin do-ghadi hamrah chal kar dekh to rah mein bhi tujh se tanha log hain ghar mein hai ghar se nikal kar dekh to lu ruki to khidkiyan khulne lagin har dariche mein hai khanjar dekh to tere jalwon se makan bhar jaega aks hai aaina ban kar dekh to main bhi shayad ji sakun tere baghair ek din mujh se bichhad kar dekh to khamushi ka daur rukhsat ho chuka man hi jaega kah kar dekh to tu ne jis jalwe ko parda kar diya ghumta-phirta hai ghar ghar dekh to teri aankhen bhi bhar aaen ghaaliban tu bhi mera nam le kar dekh to gore galon mein gadhe pad jaenge ashk' un ko gudguda kar dekh to