mom sifat logon ne mera hans ke tamasha dekha to wo patthar tha lekin us ki aankh se aansu tapka to alfazon ne mani badle tahriron ne rukh badla mere qalam ki nok se jis dam khun ka chashma phuta to kahne lage sab aaj sawa neze par suraj aayega jis din main ne mom ka kurta apne badan par pahna to qimat dekhte dekhte pahunchi kaudi se phir lakhon mein kanch ka ek showcase bana kar khud ko us mein rakkha to unchi unchi baaten dena meri bhi kal fitrat thi hosh thikane aa gae mere apne andar jhanka to mujh ko pinjre se to nikala par sayyaad ne dhamki di bazu jhad jaenge tere tu ne udna chaha to