muddaten ho gai hain chup rahte koi sunta to hum bhi kuchh kahte jal gaya khushk ho ke daman-e-dil ashk aankhon se aur kya bahte baat ki aur munh ko aaya jigar is se behtar yahi tha chup rahte hum ko jaldi ne maut ki mara aur jite to aur gham sahte sab hi sunte tumhaari ai 'mahshar' koi kahne ki baat agar kahte