muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein jhurriyan chehre pe thin aur aable the panw mein ab to shayad gir gaya hoga wo pipal ka darakht bachpane mein hum mila karte the jis ki chhanw mein kaun aaega meri dahliz pe barson ke baad aaj hum phir kho gae kawwe ke kanw kanw mein taki mujh pe shahr ki uryaniyan ghaalib na hon apni aankhen chhod aaya hun main apne ganw mein ek samundar aankh mein tha maujzan 'talib' magar umr-bhar hum tishna-lab bhatka kiye sahraon mein