muflis ko samajh aaenge aazar namak ke pani ki kahani mein hain kirdar namak ke kheme ke charaghon ko bujhane se khulega hubdar-e-wafa ho ya ki hubdar namak ke sae ki tarah rahte hain khush-haali mein lekin barish mein bikhar jate hain sab yar namak ke ye sham ki basti hai yahan sar hain sinan par milte hi nahin khun mein aasar namak ke ek shahr-e-mohabbat ki sajawat ki gharaz se ashkon se churae gae minar namak ke raftar-e-zamana ne bataya ye sabab hai naw ko dubo dete hain ghaddar namak ke guftar ke nashtar se kuredo na zubun ko ye zakhm-e-junun hain nahin haqdar namak ke thodi si nami ho to pighal jate hain 'zamzam' darpesh hain makhluq ko sardar namak ke