mughaalta hai uruj-o-zawal thodi hai hamari aankh ke shishe mein baal thodi hai hamare dil mein kabutar namaz padhte hain hamare dil mein tassub ka jal thodi hai labaada barf ka odhe hue hai jwala-mukhi zamin ke lawe mein ab ke ubaal thodi hai hain hum husaini hamein sar katana aata hai hamare pas yazidana-chaal thodi hai mere habib ki tamsil dhundne walo wo be-misal hai us ki misal thodi hai har ek shakh se jade ki barf lipti hai abhi darakht pe patton ki shaal thodi hai ba-roz-e-id bhi roze ke jaisi haalat hai amir-e-shahr se lekin sawal thodi hai kamal jitna bhi hai aag ke badan mein hai dhuan dhuan hai dhuen mein kamal thodi hai azal se chand mein charkha chala rahi hai magar 'nawaz' ab bhi wo budhiya nidhaal thodi hai