mughanniyon ko bulao ki nind aa jae kaho wo git sunao ki nind aa jae chale bhi aao mere jite-ji ab itna bhi na intizar badhao ki nind aa jae charagh-e-umr-e-guzashta bujha diya kis ne wahi charagh jalao ki nind aa jae haqiqaton ne to khul khul ke nind uda di hai nae tilism banao ki nind aa jae sukun-nasibo idhar aao aur koi tadbir zara hamein bhi batao ki nind aa jae badi tawil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat koi ghazal hi sunao ki nind aa jae