mujh mein koi mujh jaisa ho aisa bhi ho sakta hai ya phir koi aur chhupa ho aisa bhi ho sakta hai us ke hath mein ghubbare the phir bhi bachcha gum-sum tha wo ghubare bech raha ho aisa bhi ho sakta hai ek risala padhte padhte us ki aankhen bhar aain us mein mera sher chhapa ho aisa bhi ho sakta hai ambar bhi nila nila hai dariya bhi nila nila un donon ne zahr piya ho aisa bhi ho sakta hai sahra mein jab pyas lagi to meri wahshat ne socha qais ne khud ka khun piya ho aisa bhi ho sakta hai jis ki khatir beach safar mein us ne mujh ko chhoda tha wo bhi us ko chhod gaya ho aisa bhi ho sakta hai