mujh par ai mahram-e-jaan parda-e-asrar kun khol khwab-e-ghaflat sen utha dida-e-bedar kun khol dil kun ab daman-e-sahra-e-junun yaad aaya aql ke dam sen us said-e-giraftar kun khol ai nasim-e-sahari bu-e-mohabbat le aa turra-e-yar sati itr ki mahkar kun khol aarzu hai meri aankhon sen rawan hoen aansu nashtar-e-gham sen rag-e-abr-e-guhar-bar kun khol main kharidar hun de jins-e-junun khatir-khwah ai gham-e-qafila-salar tuk is bar kun khol qafas-e-gham mein dil-afsurda rahunga kab tak naghma-e-shauq sen mere lab-e-guftar kun khol qissa-e-dard kun anjam nahin misl-e-'siraj' gham ke daftar kun lapet aah ke tumar kun khol