mujh pe TuTi jo siyah-raat batane ki nahin

mujh pe tuti jo siyah-raat batane ki nahin
yani ye gardish-e-haalat batane ki nahin

han mera haal bhi bilkul hai tumhaare jaisa
man lo baat ki har baat batane ki nahin

dil ki rag rag mein ghuli jae halawat jis ki
hae wo dard ki saughat batane ki nahin

dhup ke shahr mein mere bhi kai din guzre
sar pe barsi thi jo barsat batane ki nahin

zindagi mast thi tab apni fazaon mein magan
kheli thi waqt ne jo ghat batane ki nahin

main kahani ko nae lafz-o-maani dungi
khud pe guzri hui din-raat batane ki nahin

waqt ne ki thi raqam us ghadi ek umda misal
zindagi thi jo tere sath batane ki nahin

jaane anjaane mein kya raaz hue hain ifsha
yun khuli mujh pe meri zat batane ki nahin

zikr mein laun to chhin jaane ka khadsha hai 'sahar'
aai jo shai hai mere hath batane ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close