mujhe is jhamak se aaya nazar ek nigar-e-rana ki khur us ke husn-e-rukh ko laga takne zarra-asa khad-o-khal khubi-agin lab-e-lal pan se rangin nazar aafat-e-dil-o-din mizha sad-muzarrat-afza padi rukh pe zulf-e-pur-kham misi rashk-e-rang-e-nilam gharaz is tarah ka aalam ki pari kahe aha-ha kaha hum ne ai saman-bar pari-chehra mahr-paikar jo chali ho yun jhamak kar kaho azm hai kidhar ka hai ye waqt-e-sair-e-bustan phalen hum bhi sath ai jaan kaha sun ke ye are myan koi tum bhi ho tamasha hai ye aashnai agli na shanakht ek do din ki jo hai dil-dahi ki marzi to hai loch phir ye kaisa kaha jab 'nazir' hum ne yahi dil hain hum to rakhte to kaha jo neki howe to phir us ka puchhna kya