mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le

mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal samet le
main jo tera koi gila karun meri kya majal samet le

mere harf o saut bhi chhin le mere sabr-o-zabt ke sath tu
mera koi mal bura nahin mera sara mal samet le

ye tamam din ki masafaten ye tamam raat ki aafaten
mujhe in dinon se najat de mera ye wabaal samet le

sabhi reza reza inayaten usi ek ki hain riwayaten
wo jo lamha lamha bikher de wo jo sal sal samet le

tere intizar mein is tarah mera ahad-e-shauq guzar gaya
sar-e-sham jaise bisat-e-dil koi khasta-haal samet le

tere rukh pe chand bhi dard hai tera is mein kaun sa harj hai
tu agar ye hashiya chhod de to agar ye baal samet le

ye hamara shauq tha hum ne apne gulon mein parinde saja liye
use ikhtiyar hai 'ram' jab bhi wo chahe jal samet le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close