mujhe na DhunD chaman ki hasin bahaaron mein

mujhe na dhund chaman ki hasin bahaaron mein
safir-e-dasht hun rahta hun kharzaron mein

har ek baat ki tashrih to nahin hoti
kabhi to baat ko samjha karo ishaaron mein

wo kaisa josh tha bachchon mein bhi shahadat ka
uchak rahe the jo panjon ke bal qataron mein

khusha ki meri basirat abhi salamat hai
parakh raha hun naginon ko sang-paron mein

baja ki tujh ko hai shauq-e-shanawari lekin
hai farq jhil nadi bahr ke kinaron mein

use ye khauf ki main ba-asar na ho jaun
wo mera nam bhi leta nahin ishaaron mein

riya-pasand mizajon mein din kya 'qaisar'
nahin hai jauhar-e-iman hi din-daron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close