mujhe nahin hai koi wahm apne bare mein bharo na had se ziyaada hawa ghubare mein tamasha khatm hua dhup ke madari ka sunahri sanp chhupe sham ke pitare mein jise main dekh chuka us ko log kyun dekhen na chhodi koi bhi baqi kashish nazare mein wo bolta tha magar lab nahin hilata tha ishaara karta tha jumbish na thi ishaare mein tamam log gharon ki chhaton pe aa jaen badi kashish hai nae chand ke nazare mein mile mujhe bhi agar koi sham fursat ki main kya hun kaun hun sochunga apne bare mein purani samt mudega na koi bhi 'sajid' ye ahd-e-nau na bahega qadim dhaare mein