mujhe sambhaal mera hath tham kar le ja thaka hua hun kai din ka mujh ko ghar le ja giraft-e-gul se nikal kar bikharta jata hun mujhe hawa ke paron mein samet kar le ja jahan se mang mere nam par hayat ki bhik tu mera kasa-e-ehsas dar-ba-dar le ja jahan-e-past ko phir dekhne ki khwahish hai shuur-e-gham mujhe gham ke pahad par le ja ab us se aage har ek mod par andhera hai tu apne sath mere pyar ki sahar le ja tu jis ki rah mein roya hai umr bhar 'nasik' wo subh rakh hui apni jholi bhar le ja