mujhe sanson ki hai thod piya mera sath abhi mat chhod piya kari minnat zari tar le sab main ne hath diye hain jod piya meri mang sindur se khali kar hari chudi aa kar tod piya kahin parbat par main bas jaun jahan dikhe na mera kodh piya main ne pag pag teri balaen lin main ne phunke wird karod piya meri aas ki sans ukhadti hai tu mukh apna na mod piya tera hijr wichhoda mar gaya liya sara lahu nichod piya meri aankhen ro ro khak huin mere ashk na aise rod piya tere sikke mujh ko sona hain chal mati matki phod piya mera haal dhamal hai jogan sa main ne wajd liya hai odh piya hai ye prem janm-janmata ka mujhe sat janam teri lod piya