mujhe saqi-e-chashm-e-yar ne ajab ek jam pila diya ki nashe ne jis ke gham-e-jahan mere dil se saf bhula diya karun kya bayan main wasf ab mai-e-nab-e-ishq ka dosto ki khudi ki qaid se yak-qalam ba-khuda ki mujh ko chhuda diya asar us ki chashm-e-karam ka ab karun kis zaban se main bayan ki ba-har makan-o-ba-har taraf mujhe haq ka jalwa dikha diya kisi aarzu ki rahi nahin hai mere dil mein kuchh bhi samae ab mujhe saqiya mai-e-lutf se tu ne kya hi khub chakha diya teri tegh ghamza-e-chashm ne jo hain qatl mujh ko kiya sanam to wahin pe isa-e-naz ne mujhe ek dam mein jila diya na faqat tumhaari nigah ne mere dil ko hath se le liya ki tumhaari zulf-e-daraaz ne mujhe sau bala mein phansa diya na thi chashm mujh ko ye ai sanam ki tumhaari chashm ne yak-qalam mere rakht-e-aql-o-shakeb ko barq-e-nigah se jala diya mujhe tu ne apne jamal ke dikhla ke tarhen nau bano kabhu misl-e-abr rula diya kabhu misl-e-barq hansa diya main fida-e-khadim-e-shah hun dil-o-jaan se 'asim' jis ne ab jise bujhna hi muhaal tha use ek pal mein sujha diya