mujhe to qatra hi hona bahut satata hai isi liye to samundar pe rahm aata hai wo is tarah bhi meri ahmiyat ghatata hai ki mujh se milne mein sharten bahut lagata hai bichhadte waqt kisi aankh mein jo aata hai tamam umr wo aansu bahut rulata hai kahan pahunch gai duniya use pata hi nahin jo ab bhi mazi ke qisse sunae jata hai uthae jaen jahan hath aise jalse mein wahi bura jo koi masala uthata hai na koi ohda na degree na nam ki takhti main rah raha hun yahan mera ghar batata hai samajh raha ho kahin khud ko meri kamzori to us se kah do mujhe bhulna bhi aata hai