mujh ko ab saqi-e-gulfam se kuchh kaam nahin mai se kuchh kaam nahin jam se kuchh kaam nahin dil mein khush aai hain sahra ki babulen pur-khar ab kisi sarw-e-gul-andam se kuchh kaam nahin apne aaram se hun dasht-e-junun mein tanha kisi mahbub-e-dil-aram se kuchh kaam nahin khana-barbaad hun sahra mein bagulon ki tarah saqf-o-diwar-o-dar-o-baam se kuchh kaam nahin tair-e-ruh-e-ramida ki tarah chhuta hun ab to sayyaad tere dam se kuchh kaam nahin tab-e-raushan ko nahin khauf siyah-rozi ka subh-e-mahshar hun mujhe sham se kuchh kaam nahin itni muddat se hun ghurbat mein watan bhul gaya mujh ko ab nama-o-paigham se kuchh kaam nahin hai firaq-e-but-e-khud-kaam mein 'nasikh' ka kalam hun main nakaam mujhe kaam se kuchh kaam nahin