mujh ko barah-e-rast koi tajraba nahin in gul-rukhon mein kahte hain bu-e-wafa nahin kuchh bewafaiyan bhi zaruri hain 'ishq mein warna khuda gawah hai main bewafa nahin shauq-e-gunah-o-‘azm-e-baghawat nahin raha ye kam saza nahin hai ki koi bhi saza nahin is dasht-e-gham mein gham ke siwa kaun aaega chup-chap so raho ye kisi ki sada nahin kya kya hua bayan ke liye 'umr chahiye yun puchh lijiye ki abhi kya hua nahin hum sirf shab ko ro liye bas aur kya kiya kis munh se phir kahen koi apna hua nahin ye aag bujh rahi hai ise ab hawa na do tum se to koi raaz hamara chhupa nahin khwabon ke qafile kahin zulfon mein kho gae aankhon mein aaj nind ka koson pata nahin aaina mujh ko jaaniye hairat na kijiye khud aap samne hain koi dusra nahin shukr-e-khuda nazar kabhi nichi nahin hui ye sar bhi aaj tak kabhi beja jhuka nahin aise ta'alluqat ko jo chaho nam do itna qarib koi tumhaare siwa nahin husn-e-wafa-nawaz tera shukriya magar itna udas dil kabhi pahle hua nahin ranj us ne kuchh siwa diye ye haq usi ka tha itna qarib dusra koi raha nahin ab dekhna hai kaun si ho jiddat-e-karam apne hisab se to koi gham bacha nahin mahbuba-e-firaq hai ai 'badr' dukht-e-raz lazim tha ehtiram udhar rukh kiya nahin