mujhko be-rahm tabibon se bachaya jae

mujh ko be-rahm tabibon se bachaya jae
ab dua mangne walon ko bulaya jae

sirf mahsus karen log magar sun na saken
shor kuchh itni khamoshi se machaya jae

khas logon pe jahan aane ki ho pabandi
mujh ko us aam si mahfil mein bulaya jae

dard ka bojh uthate hue ek umr hui
kuchh khushi ka bhi to ehsan uthaya jae

yun to har baat pe rone ki hai aadat us ko
dil ba-zid hai ke use aaj hansaya jae

hai jafakar wo jae to use jaane do
kyon bhala zakhm ko nasur banaya jae

'aisha' khud se hi main ladti rahungi kab tak
ab mujhe mere muqabil se hataya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close