mujhko duniya ki tamanna hai na din ka lalach

mujh ko duniya ki tamanna hai na din ka lalach
hae lalach hai to ek mah-jabin ka lalach

ishq-bazi pe suna mujh ko malamat na karo
haif hai jis ko na ho tum se hasin ka lalach

haalat-e-qalb sar-e-bazm bataun kyunkar
parda-e-dil mein hai ek parda-nashin ka lalach

jab yahin taish mein guzre to wahan kya ummid
na raha is liye hum ko to kahin ka lalach

boriya takht-e-sulaiman se kahin behtar hai
hum gharibon ko nahin taj-o-nagin ka lalach

na main duniya ka talabgar na uqba ki hawas
aasmanon ki tamanna na zamin ka lalach

dil bhi do jaan bhi do zar bhi do us ko 'parwin'
badh gaya sab se mere mah-jabin ka lalach


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close