mujh ko itna to yaqin hai main hun aur jab tak ye zamin hai main hun is se aage main kahan tak sochun aadmi jitna zahin hai main hun ye jise sath liye phirta hun ye koi aur nahin hai main hun ek chhota sa mahal sapnon ka jis mein ek mah-jabin hai main hun ghar ke bahar hai koi mujh jaisa aur jo ghar mein makin hai main hun mere malbe pe khade hain sab log dekhta koi nahin hai main hun