mujh ko jab ghaur se takte hain zamane wale hu-bahu lagte hain taswir banane wale waqt rakh dega teri pith pe ye shab ka pahad bojh chup-chap andhere ka uthane wale yaad rakkhunga tujhe ek haqiqat ki tarah ek qisse ki tarah mujh ko bhulane wale raat ki ot liye rote hain tanha tanha din ke jalwon mein hazaron ko hansane wale chhupti phirti hai yunhi rah dhundalkon mein kyon hum nahin bich mein yun laut ke jaane wale wo koi aur hain jo dete hain shab ka paigham hum to hain subh ka elan sunane wale muddaa tera kuchh auron se juda lagta hai dastan ek hi har bar sunane wale yan se utrenge to hum honge sahar ke rath mein hum ko ai raat ki suli pe chadhane wale hum ne sadiyon ka safar lamhon mein kata 'abid' jaane kis mod pe atke hain zamane wale