mujh ko kabhi bhi un se shikayat hui nahin shayad isi liye to mohabbat hui nahin ghairon se mehrbani ki ummid kya karen hum par to aap ki bhi inayat hui nahin wo log kuche kuche bhatakne lage hain aaj jin ko khud apne ghar se bhi chahat hui nahin hum hi to the jo waqt pe hi kaam aa gae achchha hua ki hum se adawat hui nahin main ne kabhi kisi ka dukhaya nahin hai dil mujh ko kabhi kisi se nadamat hui nahin tufan-e-baad-o-baran mein sab bah gaya 'kiran' barsat ab ki bais-e-rahmat hui nahin