mujhko lagta hai wo wali ki tarah

mujh ko lagta hai wo wali ki tarah
us ki baaten hain rahbari ki tarah

itr mein dubi us ki khushbu thi
dil mein utra jo chashni ki tarah

hath jode hain kyon khuda jaane
hai ada us ki aajizi ki tarah

hai ajab lahja un faqiron ka
wo nahin lagte aadmi ki tarah

tirgi mein bhi wo chamakta hai
husn us ka hai raushni ki tarah

us ne begana jab kaha mujh ko
main chala aaya ajnabi ki tarah

kya hua us ko phir khuda jaane
wo mahakta tha ek kali ki tarah

ek qalandar ko jaanta hun main
hai suluk us ka sadgi ki tarah

dekhte the wo sab tamasha mera
bah raha tha main jab nadi ki tarah

mujh mein aisa hai kya bata 'ahmad'
jo tu padhta hai shaeri ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close