mujhko na jaanta meri danai jaanta

mujh ko na jaanta meri danai jaanta
koi to meri baat ki gahrai jaanta

khud ko samet lata bade ehtiyat se
gar main mere khayal ki yakjai jaanta

ab tak jo mere sath hua sab bura hua
warna mujhe yaqin hai main achchhai jaanta

be-sabr ho ke koi kahin mar gaya to thik
warna yahan pe kaun shakebai jaanta

tere visal mein hua ye tajraba bhi fash
kaise wagarna main kabhi tanhai jaanta

har shakhs ne hi kar liya goyai par yaqin
koi to meri aankh ki sachchai jaanta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close