mujh ko na-karda gunah ka mo'tarif hona pada rasm aisi thi ki khud se munharif hona pada koi bhi mujh sa na tha bebak bazm-e-shauq mein is tarah mujh ko sabhon se mukhtalif hona pada ek hi shai thi ki jis par bach raha tha e'timad pas mujhe apni ana se muttasif hona pada wo yaqinan raaz-andar-raaz tha lekin use ek din mujh na-tawan par munkashif hona pada kya bataun mabad-e-tanhai mein mujh rind ko umr-bhar ke waste kyun moatakif hona pada