mujh ko sada na den na sataen mohabbaten meri bala se bhad mein jaen mohabbaten pahnenge hum kabhi na ye mangi hui qaba jaen yahan se apni uthaen mohabbaten baithe rahen ghurur mein apni ana ke sath rakkhen sambhaal kar ye wafaen mohabbaten kahna ki ab kisi ki zarurat nahin rahi thak haar kar jo laut ke aaen mohabbaten diwar nafraton ki jo tum ne khadi hai ki mumkin hai ye bhi bojh uthaen mohabbaten hoti nahin ye har kas-o-na-kas ke waste anmol hain jahan mein duaen mohabbaten is dil-fareb jal mein 'fauzi' na aaegi qadmon mein chahe phul bichhaen mohabbaten