mujhko zindagani se talKHiyan nahin hotin

mujh ko zindagani se talkhiyan nahin hotin
hath mein agar mere degreeyan nahin hotin

baghban ne khud apna eatibar kho dala
is liye baghiche mein titliyan nahin hotin

har gharib mein un ko khamiyan nazar aain
bas amir logon mein khamiyan nahin hotin

zakhm ke liye aakhir ek zaban kafi hai
har kisi ke hathon mein barchhiyan nahin hotin

bad-duaon se bach kar aadmi rahe warna
muflison ki aahon mein siskiyan nahin hotin

kya pata unhen kaise janm din manate hain
jin gharon mein khane ko rotiyan nahin hotin

khush-nasib hain jin ko rahmaten milin 'raunaq'
har kisi ki qismat mein betiyan nahin hotin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close