mujh se aashiq ke tain mar ke kya pawega muft badnami tujhe howegi pachhtawega jo tera aashiq-e-raftar hai jun naqsh-e-qadam tere kuche ke tain chhod kahan jawega ghair ke kahne par ai yar na kahiyo hargiz ye samajh rakhiyo wo shaitan hai bahkawega dahr mein tere farebon se ai shokh ayyar kam koi hoga na dil jis ka dagha pawega yar ko tarz-e-jafa se nahin rakhne ka baz naseha har ghadi mujh ko hi to samjhawega aashnai na 'jahandar' se tod ai pyare aisa aashiq na jahan mein tu koi pawega